firaq-o-wasl to yak-dam thin aarzi rasmen
firāq-o-vasl to yak-dam thiiñ 'ārzī rasmeñ
hameñ gunāh ne bāñdhā huā hai aapas meñ
ḳhushī thī itnī tirī rail chhūT jaane kī
maiñ books rakh ke uThātā rahā tirī qasmeñ
mirī to ḳhair thī kambaḳht titliyoñ ko bhī
maza hī aur milā surḳh phūloñ ke ras meñ
nazar jo ḳhvāb sā chehra koī sirhāne paḌā
use bhī chaaT gayā maiñ kitāb kī chas meñ
vo baaġh lāzmī hogā ye peḌ bhī hogā
par aise phuul to khilte nahīñ haiñ undulas meñ
sahar kī pahlī kiran ne qafas meñ par maare
to ḳhuun dauḌ gayā pattharoñ kī nas-nas meñ
usī ke pīchhe hai duniyā kā sab se daulat-mand
jo husn ik dafa dekhā thā gashtī circus meñ
vo paise gintī hai tantī hai chaltī bantī hai
maiñ sochtā huuñ ki kyā kuchh nahīñ mire bas meñ
abhī schōl kī ghanTī nahīñ bajī 'bābar'
maiñ jhuk ke bāñdh rahā huuñ matīn ke tasme
firaq-o-wasl to yak-dam thin 'arzi rasmen
hamein gunah ne bandha hua hai aapas mein
KHushi thi itni teri rail chhuT jaane ki
main books rakh ke uThata raha teri qasmen
meri to KHair thi kambaKHt titliyon ko bhi
maza hi aur mila surKH phulon ke ras mein
nazar jo KHwab sa chehra koi sirhane paDa
use bhi chaT gaya main kitab ki chas mein
wo bagh lazmi hoga ye peD bhi hoga
par aise phul to khilte nahin hain undulas mein
sahar ki pahli kiran ne qafas mein par mare
to KHun dauD gaya pattharon ki nas-nas mein
usi ke pichhe hai duniya ka sab se daulat-mand
jo husn ek dafa dekha tha gashti circus mein
wo paise ginti hai tanti hai chalti banti hai
main sochta hun ki kya kuchh nahin mere bas mein
abhi school ki ghanTi nahin baji 'babar'
main jhuk ke bandh raha hun matin ke tasme
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.