firaq-e-yar mein hun is qadar udas udas
firaq-e-yar mein hun is qadar udas udas
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
firāq-e-yār meñ huuñ is qadar udaas udaas
baġhair bachchoñ ke jaise ho ghar udaas udaas
shikārī aa.e haiñ ya.anī parind jā.eñge
ye baat sun ke huā hai shajar udaas udaas
na jaane kyā mire zaḳhmoñ meñ dekh baiThā hai
ki ho gayā hai mirā chārāgar udaas udaas
ye vo galī hai jahāñ shādmānī rahtī hai
so mere dost yahāñ se guzar udaas udaas
kabhī kabhār to ḳhud zaar zaar rotī haiñ
udāsiyāñ bhī mujhe dekh kar udaas udaas
ye kyā huā ki Dubo kar mujhe baḌe din se
ḳhafā ḳhafā sī nadī hai bhañvar udaas udaas
natīja tark-e-ta.alluq kā ek sā kab hai
udhar vo ḳhush hai bahut maiñ idhar udaas udaas
firaq-e-yar mein hun is qadar udas udas
baghair bachchon ke jaise ho ghar udas udas
shikari aae hain yani parind jaenge
ye baat sun ke hua hai shajar udas udas
na jaane kya mere zaKHmon mein dekh baiTha hai
ki ho gaya hai mera chaaragar udas udas
ye wo gali hai jahan shadmani rahti hai
so mere dost yahan se guzar udas udas
kabhi kabhaar to KHud zar zar roti hain
udasiyan bhi mujhe dekh kar udas udas
ye kya hua ki Dubo kar mujhe baDe din se
KHafa KHafa si nadi hai bhanwar udas udas
natija tark-e-talluq ka ek sa kab hai
udhar wo KHush hai bahut main idhar udas udas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.