fitna-e-shams-o-qamar se nikle
fitna-e-shams-o-qamar se nikle
halqa-e-shām-o-sahar se nikle
kyā kaheñ kitne sharar kitne gul
mere dāmān-e-hunar se nikle
haath uThāne kī zarūrat na rahī
ham duāoñ ke asar se nikle
kitne tūfān rahe dil meñ nihāñ
kitne andāz nazar se nikle
vo bhī āñgan meñ khaḌā kāñptā thā
ham bhī sahme hue ghar se nikle
sāmne barf kī dīvār thī 'shān'
ham jab us rāhguzar se nikle
fitna-e-shams-o-qamar se nikle
halqa-e-sham-o-sahar se nikle
kya kahen kitne sharar kitne gul
mere daman-e-hunar se nikle
hath uThane ki zarurat na rahi
hum duaon ke asar se nikle
kitne tufan rahe dil mein nihan
kitne andaz nazar se nikle
wo bhi aangan mein khaDa kanpta tha
hum bhi sahme hue ghar se nikle
samne barf ki diwar thi 'shan'
hum jab us rahguzar se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.