fitna-KHu le gai dil chhin ke jhaT-paT humse
fitna-ḳhū le ga.ī dil chhīn ke jhaT-paT ham se
aur phir sāmne aane meñ hai ghūñghaT ham se
aap kā qasd mohabbat hai agar ġhairoñ se
qarz le lījiye thoḌī sī mohabbat ham se
so ga.e ham to ham-āġhosh hue ḳhvāb meñ vo
ab to karne lage kuchh kuchh vo lagāvaT ham se
ek bose kī talab meñ huī mehnat barbād
vasl kī raat huī yaar se khaTpaT ham se
sulh kar leñ tire ḳhanjar ke gale mil jaa.eñ
qatl ke vaqt na rakhiye vo rukāvaT ham se
haa.e kis naaz se kahte haiñ shab-e-vasl meñ vo
ho chukī baat jo honī thī pare haT ham se
fitna-KHu le gai dil chhin ke jhaT-paT hum se
aur phir samne aane mein hai ghunghaT hum se
aap ka qasd mohabbat hai agar ghairon se
qarz le lijiye thoDi si mohabbat hum se
so gae hum to ham-aghosh hue KHwab mein wo
ab to karne lage kuchh kuchh wo lagawaT hum se
ek bose ki talab mein hui mehnat barbaad
wasl ki raat hui yar se khaTpaT hum se
sulh kar len tere KHanjar ke gale mil jaen
qatl ke waqt na rakhiye wo rukawaT hum se
hae kis naz se kahte hain shab-e-wasl mein wo
ho chuki baat jo honi thi pare haT hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.