fitna-pardazi adu ka nam hai
fitna-pardāzī adū kā naam hai
naam 'rahbar' kā yūñhī badnām hai
ranj-o-ġham meñ bhī hameñ baḳhshā sukūñ
zindagī bar-dosh mai kā jaam hai
piine vāloñ ko salīqa hī nahīñ
mai-kada to muft meñ badnām hai
terī aamad āmad-e-sub.h-e-bahār
terā jaanā zindagī kī shaam hai
tujh se mil kar ab khulā ham par ye raaz
hijr meñ tere bahut ārām hai
maut āñkheñ khol degī ek din
tishna-e-hastī barā.e naam hai
jal rahe haiñ muft meñ ahl-e-hasad
ham ko to mashq-e-suḳhan se kaam hai
pursish-e-bīmār-e-ġham ab hai abas
zindagī kā maut hī anjām hai
is ġhazal kī daad ye 'rahbar' milī
aaj har lab par tumhārā naam hai
fitna-pardazi adu ka nam hai
nam 'rahbar' ka yunhi badnam hai
ranj-o-gham mein bhi hamein baKHsha sukun
zindagi bar-dosh mai ka jam hai
pine walon ko saliqa hi nahin
mai-kada to muft mein badnam hai
teri aamad aamad-e-subh-e-bahaar
tera jaana zindagi ki sham hai
tujh se mil kar ab khula hum par ye raaz
hijr mein tere bahut aaram hai
maut aankhen khol degi ek din
tishna-e-hasti barae nam hai
jal rahe hain muft mein ahl-e-hasad
hum ko to mashq-e-suKHan se kaam hai
pursish-e-bimar-e-gham ab hai abas
zindagi ka maut hi anjam hai
is ghazal ki dad ye 'rahbar' mili
aaj har lab par tumhaara nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.