fitne uThenge to paigham-e-tabahi denge
fitne uTheñge to paiġhām-e-tabāhī deñge
aur tārīk fazāoñ ko siyāhī deñge
maiñ ne ye baat kabhī ḳhvāb meñ sochī bhī na thī
mere apne hī muḳhālif kī gavāhī deñge
kaun sī raah tire dar pe unheñ le jaa.e
ye pata rāh-e-tamannā ko vo raahī deñge
aap chāheñ to hameñ bhuul bhī jaa.eñ lekin
hāl-e-dil ham to kisī roz sunā hī deñge
aur nikhregī tabhī dār-o-rasan kī azmat
sar ko haq baat pe jab haq ke sipāhī deñge
sirf apnoñ kī sharārat hai tabāhī meñ yahāñ
aap kis kis ko ye ilzām-e-tabāhī deñge
be-niyāzī kā ye aalam hai to ik din ‘chashma’
mere dil ko vo taḌap sūrat-e-māhī deñge
fitne uThenge to paigham-e-tabahi denge
aur tarik fazaon ko siyahi denge
main ne ye baat kabhi KHwab mein sochi bhi na thi
mere apne hi muKHalif ki gawahi denge
kaun si rah tere dar pe unhen le jae
ye pata rah-e-tamanna ko wo rahi denge
aap chahen to hamein bhul bhi jaen lekin
haal-e-dil hum to kisi roz suna hi denge
aur nikhregi tabhi dar-o-rasan ki azmat
sar ko haq baat pe jab haq ke sipahi denge
sirf apnon ki shararat hai tabahi mein yahan
aap kis kis ko ye ilzam-e-tabahi denge
be-niyazi ka ye aalam hai to ek din ‘chashma’
mere dil ko wo taDap surat-e-mahi denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.