fitnon ka karobar hai aao dua karen
fitnoñ kā kārobār hai aao duā kareñ
har-sū ik intishār hai aao duā kareñ
tahzīb-e-rakh-rakhāo aur ādāb-e-zindagī
nasloñ pe jaise baar hai aao duā kareñ
mauj-e-nasīm bād-e-sabā ke liye bhī ab
har phuul jaise ḳhaar hai aao duā kareñ
ik haq-parast aam nigāhoñ meñ in dinoñ
jaise gunāhgār hai aao duā kareñ
har har qadam pe galiyoñ meñ aur shāhrāh par
tahzīb sharmsār hai aao duā kareñ
aksar ḳhatīb-e-shahr kā irshād-e-āliya
lafzoñ kā ik hisār hai aao duā kareñ
afsos sirf luqma-e-tar kī havas meñ aaj
insāñ zalīl-o-ḳhvār hai aao duā kareñ
māl-o-manāl jāh-o-hasham kā bas ik junūñ
a.asāb par savār hai aao duā kareñ
apnā zamīr bechne vaalā hī āj-kal
logoñ meñ zī-vaqār hai aao duā kareñ
makr-o-fareb aur riyā-kāriyoñ kā shaġhl
ab vaj.h-e-iftiḳhār hai aao duā kareñ
dhartī pe rah ke karte haiñ baat āsmān kī
yuuñ ziist se farār hai aao duā kareñ
allāh re huqūq-o-farā.ez kā har amal
ik dūsre pe baar hai aao duā kareñ
'fāḳhir' anā kī pyaas bujhāne ke vāste
har shaḳhs be-qarār hai aao duā kareñ
fitnon ka karobar hai aao dua karen
har-su ek intishaar hai aao dua karen
tahzib-e-rakh-rakhao aur aadab-e-zindagi
naslon pe jaise bar hai aao dua karen
mauj-e-nasim baad-e-saba ke liye bhi ab
har phul jaise KHar hai aao dua karen
ek haq-parast aam nigahon mein in dinon
jaise gunahgar hai aao dua karen
har har qadam pe galiyon mein aur shahrah par
tahzib sharmsar hai aao dua karen
aksar KHatib-e-shahr ka irshad-e-aliya
lafzon ka ek hisar hai aao dua karen
afsos sirf luqma-e-tar ki hawas mein aaj
insan zalil-o-KHwar hai aao dua karen
mal-o-manal jah-o-hasham ka bas ek junun
aasab par sawar hai aao dua karen
apna zamir bechne wala hi aaj-kal
logon mein zi-waqar hai aao dua karen
makr-o-fareb aur riya-kariyon ka shaghl
ab wajh-e-iftiKHar hai aao dua karen
dharti pe rah ke karte hain baat aasman ki
yun zist se farar hai aao dua karen
allah re huquq-o-faraez ka har amal
ek dusre pe bar hai aao dua karen
'faKHir' ana ki pyas bujhane ke waste
har shaKHs be-qarar hai aao dua karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.