fitrat-e-husn mein agar ahliyat-e-wafa nahin
fitrat-e-husn mein agar ahliyat-e-wafa nahin
Rajendr Bahadur Mauj
MORE BYRajendr Bahadur Mauj
fitrat-e-husn meñ agar ahliyat-e-vafā nahīñ
mujh ko ḳhudā se hai gila aap se kuchh gila nahīñ
niiñd meñ hai abhī kalī phuul abhī khilā nahīñ
barbat-e-ishq par magar naġhma-e-dil chhiḌā nahīñ
ishq kī ibtidā to hai ishq kī intihā nahīñ
ishq hai vo baqā sarisht jis ko kabhī fanā nahīñ
merī shab-e-firāq kī pūchh na kuchh musībateñ
jiinā to be-mazā hī thā marne meñ bhī mazā nahīñ
mahfileñ jo ujaḌ ga.iiñ saj bhī ga.iiñ hazār baar
merā jahān-e-ārzū ujḌā to phir basā nahīñ
roz vafā.eñ bhī karūñ roz jafā.eñ bhī sahūñ
banda-e-husn huuñ magar husn mirā ḳhudā nahīñ
rāh-e-talab kī mushkileñ aur ye merī ḳhud-ravī
chāroñ taraf huuñ maiñ hī maiñ koī bhī dūsrā nahīñ
ḳhud ko miTā ḳhudī ko chhoḌ qaid-e-ta.a.īnāt toḌ
ek hai asl husn-o-ishq koī judā judā nahīñ
ishq meñ chāhe jaan jaa.e shikva magar na lab pe aa.e
hazrat-e-dil ye haa.e haa.e ishq kā qā.eda nahīñ
dil ho ḳhayāl-e-yār meñ aañkh ho intizār meñ
mere dil-e-figār meñ hasrat-e-mā-sivā nahīñ
rāh-e-vafā kī Thokareñ aur mirā tan-e-figār
ab bhī ye imtihān-e-ishq ho gayā ḳhatm yā nahīñ
māñgtā huuñ nigāh se terī gudāz-e-soz-e-barq
mujh ko ba-qadr-e-zarf-e-dil lutf-e-ḳhalish milā nahīñ
varta-e-zindagī meñ 'mauj' kyoñ haiñ ye nā-umīdiyāñ
merā ḳhudā to saath hai kyā hai jo nāḳhudā nahīñ
fitrat-e-husn mein agar ahliyat-e-wafa nahin
mujh ko KHuda se hai gila aap se kuchh gila nahin
nind mein hai abhi kali phul abhi khila nahin
barbat-e-ishq par magar naghma-e-dil chhiDa nahin
ishq ki ibtida to hai ishq ki intiha nahin
ishq hai wo baqa sarisht jis ko kabhi fana nahin
meri shab-e-firaq ki puchh na kuchh musibaten
jina to be-maza hi tha marne mein bhi maza nahin
mahfilen jo ujaD gain saj bhi gain hazar bar
mera jahan-e-arzu ujDa to phir basa nahin
roz wafaen bhi karun roz jafaen bhi sahun
banda-e-husn hun magar husn mera KHuda nahin
rah-e-talab ki mushkilen aur ye meri KHud-rawi
chaaron taraf hun main hi main koi bhi dusra nahin
KHud ko miTa KHudi ko chhoD qaid-e-tainat toD
ek hai asl husn-o-ishq koi juda juda nahin
ishq mein chahe jaan jae shikwa magar na lab pe aae
hazrat-e-dil ye hae hae ishq ka qaeda nahin
dil ho KHayal-e-yar mein aankh ho intizar mein
mere dil-e-figar mein hasrat-e-ma-siwa nahin
rah-e-wafa ki Thokaren aur mera tan-e-figar
ab bhi ye imtihan-e-ishq ho gaya KHatm ya nahin
mangta hun nigah se teri gudaz-e-soz-e-barq
mujh ko ba-qadr-e-zarf-e-dil lutf-e-KHalish mila nahin
warta-e-zindagi mein 'mauj' kyon hain ye na-umidiyan
mera KHuda to sath hai kya hai jo naKHuda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.