fitratan husn KHubsurat hai
fitratan husn ḳhūbsūrat hai
sīratan ishq mahv-e-hairat hai
ḳhuub mash.hūr ye kahāvat hai
har musībat ke baad rāhat hai
jitnī shā.ista haiñ tamannā.eñ
utnī iḳhlās-e-dil kī hājat hai
hashr barpā hai zindagānī meñ
dil kā aanā bhī kyā qayāmat hai
sar jhukāne se sarfarāzī hai
ājizī lā-zavāl ne.amat hai
hai ye irshād haq-ta.āla kā
ḳhidmat-e-ḳhalq hī ibādat hai
kah rahā hai mutāla 'akmal'
ilm sau daulatoñ kī daulat hai
fitratan husn KHubsurat hai
siratan ishq mahw-e-hairat hai
KHub mashhur ye kahawat hai
har musibat ke baad rahat hai
jitni shaista hain tamannaen
utni iKHlas-e-dil ki hajat hai
hashr barpa hai zindagani mein
dil ka aana bhi kya qayamat hai
sar jhukane se sarfaraazi hai
aajizi la-zawal neamat hai
hai ye irshad haq-taala ka
KHidmat-e-KHalq hi ibaadat hai
kah raha hai mutala 'akmal'
ilm sau daulaton ki daulat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.