footpath pe leTe hain KHud apna badan oDhe
fōtpath pe leTe haiñ ḳhud apnā badan oḌhe
dhartī ke bichhaune par tāroñ kā gagan oḌhe
saaya hai na ham-sāya manzil hai na rasta hai
kāñToñ kī sadārat meñ baiThe haiñ chaman oḌhe
phir un ke taġhāful se āñkhoñ meñ namī aa.ī
jiite rahe ham ab tak va.adoñ kā kafan oḌhe
hālāt ne har shai kī tāsīr badal Daalī
sunte haiñ ki shabnam bhī girtī hai agan oḌhe
bādal hai na bijlī hai mausam na parinde haiñ
rotī rahī vīrānī har samt gahan oḌhe
yādoñ ke safar se jab lauTī to gumāñ guzrā
hai merā badan jaise sadiyoñ kī thakan oḌhe
ab apnī tabāhī kā kyā us se gila 'nīlam'
ham ko milā añdhiyārā sūraj kī kiran oḌhe
footpath pe leTe hain KHud apna badan oDhe
dharti ke bichhaune par taron ka gagan oDhe
saya hai na ham-saya manzil hai na rasta hai
kanTon ki sadarat mein baiThe hain chaman oDhe
phir un ke taghaful se aankhon mein nami aai
jite rahe hum ab tak wadon ka kafan oDhe
haalat ne har shai ki tasir badal Dali
sunte hain ki shabnam bhi girti hai agan oDhe
baadal hai na bijli hai mausam na parinde hain
roti rahi virani har samt gahan oDhe
yaadon ke safar se jab lauTi to guman guzra
hai mera badan jaise sadiyon ki thakan oDhe
ab apni tabahi ka kya us se gila 'nilam'
hum ko mila andhiyara suraj ki kiran oDhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.