fughan ki rahbar-e-rah-e-talab hain KHud kaj-rau
fuġhāñ ki rahbar-e-rāh-e-talab haiñ ḳhud kaj-rau
mile to kaise mile ab surāġh-e-manzil-e-nau
ye rang-o-nūr kā aalam ye mehr-o-māh kī zau
dar-asl hai mire husn-e-ḳhayāl kā partau
jo zindagī thī halāk-e-fusūn-e-rasm-e-kuhan
sañvar rahī hai ba-faiz-e-shu.ūr-e-ādam-e-nau
rah-e-talab meñ kisī rāhzan kā zikr hī kyā
jo rāhbar haiñ guzar un se bach ke ai rahrau
hameñ to manzil-e-maqsūd tak pahuñchnā hai
savād-e-shām kare rahbarī ki sub.h-e-nau
vo baat jis kā haqā.eq se vāsta bhī na thā
ḳhushā ki ban ga.ī unvān har fasāna-e-nau
taras rahā huuñ maiñ takmīl-e-ārzū ke liye
ye āshiqī kā sila hai ki hāsil-e-tag-o-dau
'atīq' maut hai sirf is liye aziiz mujhe
ki zindagī hai bhaḌakte hue charāġh kī lau
fughan ki rahbar-e-rah-e-talab hain KHud kaj-rau
mile to kaise mile ab suragh-e-manzil-e-nau
ye rang-o-nur ka aalam ye mehr-o-mah ki zau
dar-asl hai mere husn-e-KHayal ka partau
jo zindagi thi halak-e-fusun-e-rasm-e-kuhan
sanwar rahi hai ba-faiz-e-shuur-e-adam-e-nau
rah-e-talab mein kisi rahzan ka zikr hi kya
jo rahbar hain guzar un se bach ke ai rahrau
hamein to manzil-e-maqsud tak pahunchna hai
sawad-e-sham kare rahbari ki subh-e-nau
wo baat jis ka haqaeq se wasta bhi na tha
KHusha ki ban gai unwan har fasana-e-nau
taras raha hun main takmil-e-arzu ke liye
ye aashiqi ka sila hai ki hasil-e-tag-o-dau
'atiq' maut hai sirf is liye aziz mujhe
ki zindagi hai bhaDakte hue charagh ki lau
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.