furaat-e-dahr se aage sarab dekh zara
furāt-e-dahr se aage sarāb dekh zarā
hisāb maañg rahe haiñ janāb dekh zarā
jahāñ-jahāñ bhī bahāroñ pe tere pahre haiñ
vahāñ-vahāñ pe khileñge gulāb dekh zarā
miTe miTe ye mazāmīñ muḌe muḌe aurāq
khulī hai 'umr-e-ravāñ kī kitāb dekh zarā
kisī ke naam huī ibtidā kisī pe tamām
hayāt saarī huī intisāb dekh zarā
siyāh raat ke dāman se jhāñktā kābūs
mujhe pukār ke kahtā hai ḳhvāb dekh zarā
kise qubūl nahīñ shahr-e-ārzū kā fareb
magar dayār-e-tamanna ke baab dekh zarā
nirā fareb hai nairangī-e-ḳhayāl kī rau
hubāb dekh zarā iztirāb dekh zarā
ki sar-burīda haiñ 'hammād' munkir-e-bai'at
ye ahd-nāma-e-'izzat-ma.āb dekh zarā
furaat-e-dahr se aage sarab dekh zara
hisab mang rahe hain janab dekh zara
jahan-jahan bhi bahaaron pe tere pahre hain
wahan-wahan pe khilenge gulab dekh zara
miTe miTe ye mazamin muDe muDe auraq
khuli hai 'umr-e-rawan ki kitab dekh zara
kisi ke nam hui ibtida kisi pe tamam
hayat sari hui intisab dekh zara
siyah raat ke daman se jhankta kabus
mujhe pukar ke kahta hai KHwab dekh zara
kise qubul nahin shahr-e-arzu ka fareb
magar dayar-e-tamanna ke bab dekh zara
nira fareb hai nairangi-e-KHayal ki rau
hubab dekh zara iztirab dekh zara
ki sar-burida hain 'hammad' munkir-e-bai'at
ye ahd-nama-e-'izzat-maab dekh zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.