furaat-e-ishq par pahra laga hai
furāt-e-'ishq par pahra lagā hai
mirā ehsās pyāsā rah gayā hai
na jaane kis ghaḌī vo mujh ko chhoḌe
ye dukh ik bojh bantā jā rahā hai
vo ik lamha jise kahte haiñ qurbat
usī lamhe kā ham meñ fāsla hai
tirī āñkheñ duhā.ī de rahī haiñ
tire andar koī ḳhema jalā hai
maiñ apnī soch se mahv-e-takallum
vo mere paas tanhā rah gayā hai
furaat-e-'ishq par pahra laga hai
mera ehsas pyasa rah gaya hai
na jaane kis ghaDi wo mujh ko chhoDe
ye dukh ek bojh banta ja raha hai
wo ek lamha jise kahte hain qurbat
usi lamhe ka hum mein fasla hai
teri aankhen duhai de rahi hain
tere andar koi KHema jala hai
main apni soch se mahw-e-takallum
wo mere pas tanha rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.