furqat-e-bazm-e-yar ka dil mein zaKHm abhi tak taza hai
furqat-e-bazm-e-yār kā dil meñ zaḳhm abhī tak taaza hai
kaun sā thā vo jurm-e-mohabbat jis kā ye ḳhamyāza hai
jhūTī qasmeñ kyoñ khāte ho kyoñ īmān gañvāte ho
kitnā ham se pyaar hai tum ko is kā hameñ andāza hai
har chehre par ik chehra hai kis ko ham ā.īna dikhlā.eñ
makr-o-fareb-o-kizb-o-riyā kā har ik ruḳh par ġhāza hai
is nagrī meñ basne vaale aur bhī āḳhir baste haiñ
ham par hī kyoñ ḳhaas ināyat ham par hī āvāza hai
jaate jaate muḌ kar us ne ek nazar to dekhā thā
muddat guzrī un lamhoñ kī yaad abhī tak taaza hai
is se fuzūñ-tar 'vāsil' apnī mahrūmī ab kyā hogī
jis se ham ko aas bahut thī band vahī darvāza hai
furqat-e-bazm-e-yar ka dil mein zaKHm abhi tak taza hai
kaun sa tha wo jurm-e-mohabbat jis ka ye KHamyaza hai
jhuTi qasmen kyon khate ho kyon iman ganwate ho
kitna hum se pyar hai tum ko is ka hamein andaza hai
har chehre par ek chehra hai kis ko hum aaina dikhlaen
makr-o-fareb-o-kizb-o-riya ka har ek ruKH par ghaza hai
is nagri mein basne wale aur bhi aaKHir baste hain
hum par hi kyon KHas inayat hum par hi aawaza hai
jate jate muD kar us ne ek nazar to dekha tha
muddat guzri un lamhon ki yaad abhi tak taza hai
is se fuzun-tar 'wasil' apni mahrumi ab kya hogi
jis se hum ko aas bahut thi band wahi darwaza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.