furqat mein chita gham ki sulagti hai tumhaare
furqat meñ chitā ġham kī sulagtī hai tumhāre
aur kitnā sahe zulm-o-sitam raat kā saaya
ummīd kī phūTī hai kiran dil meñ hamāre
detā hai savere ko janam raat kā saaya
vā'de se mukar jaanā hasīnoñ kī adā hai
suntā hai sabhī qaul-o-qasam raat kā saaya
zulmat ko hiqārat kī nigāhoñ se na dekho
kirnoñ kī adāoñ meñ hai zam raat kā saaya
taare bhī nazar aate nahīñ dāman-e-shab meñ
sannāTā hai aur is pe sitam raat kā saaya
dil ko hai 'vaqār' ek tabassum kī tamanna
betāb hai dil us pe karam raat kā saaya
furqat mein chita gham ki sulagti hai tumhaare
aur kitna sahe zulm-o-sitam raat ka saya
ummid ki phuTi hai kiran dil mein hamare
deta hai sawere ko janam raat ka saya
wa'de se mukar jaana hasinon ki ada hai
sunta hai sabhi qaul-o-qasam raat ka saya
zulmat ko hiqarat ki nigahon se na dekho
kirnon ki adaon mein hai zam raat ka saya
tare bhi nazar aate nahin daman-e-shab mein
sannaTa hai aur is pe sitam raat ka saya
dil ko hai 'waqar' ek tabassum ki tamanna
betab hai dil us pe karam raat ka saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.