furqat mein KHun ke ashk bahaya karenge hum
furqat meñ ḳhuuñ ke ashk bahāyā kareñge ham
yuuñ haal zindagī kā sunāyā kareñge ham
dauḌā kiye sarāb ke pīchhe tamām umr
maanā ki ye fareb hai khāyā kareñge ham
tum ne vafā ke ahd ko toḌā hai bārhā
phir bhī vafā kī rasm nibhāyā kareñge ham
lab par zamāna qufl-e-ḳhamoshī lagā.e to
nazroñ se har payām sunāyā kareñge ham
us ne hamāre qasd ko kuchh ahmiyat na dī
par us kī har adā ko sarāhā kareñge ham
jab jab bayāz-e-dil ko kareñge huzūr band
jo naam rah gayā hai batāyā kareñge ham
furqat mein KHun ke ashk bahaya karenge hum
yun haal zindagi ka sunaya karenge hum
dauDa kiye sarab ke pichhe tamam umr
mana ki ye fareb hai khaya karenge hum
tum ne wafa ke ahd ko toDa hai barha
phir bhi wafa ki rasm nibhaya karenge hum
lab par zamana qufl-e-KHamoshi lagae to
nazron se har payam sunaya karenge hum
us ne hamare qasd ko kuchh ahmiyat na di
par us ki har ada ko saraha karenge hum
jab jab bayaz-e-dil ko karenge huzur band
jo nam rah gaya hai bataya karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.