furqat mein waslat barpa hai allah-hu ke baade mein
furqat meñ vaslat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
āshob-e-vahdat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
rūh-e-kul se sab rūhoñ par vasl kī hasrat taarī hai
ik sar-e-hikmat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
be-ahvālī kī hālat hai shāyad yā shāyad ki nahīñ
par ahvāliyyat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
muḳhtārī ke lab silvānā jabr ajab-tar Thahrā hai
haijān-e-ġhairat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
baabā alif irshād-kunāñ haiñ pesh-e-adam ke baare meñ
hairat be-hairat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
ma.anī haiñ lafzoñ se barham qahr-e-ḳhamoshī aalam hai
ek ajab hujjat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
maujūdī se inkārī hai apnī zid meñ nāz-e-vajūd
hālat sī hālat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
furqat mein waslat barpa hai allah-hu ke baDe mein
aashob-e-wahdat barpa hai allah-hu ke baDe mein
ruh-e-kul se sab ruhon par wasl ki hasrat tari hai
ek sar-e-hikmat barpa hai allah-hu ke baDe mein
be-ahwali ki haalat hai shayad ya shayad ki nahin
par ahwaliyyat barpa hai allah-hu ke baDe mein
muKHtari ke lab silwana jabr ajab-tar Thahra hai
haijaan-e-ghairat barpa hai allah-hu ke baDe mein
baba alif irshad-kunan hain pesh-e-adam ke bare mein
hairat be-hairat barpa hai allah-hu ke baDe mein
mani hain lafzon se barham qahr-e-KHamoshi aalam hai
ek ajab hujjat barpa hai allah-hu ke baDe mein
maujudi se inkari hai apni zid mein naz-e-wajud
haalat si haalat barpa hai allah-hu ke baDe mein
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 17)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.