furqat se ham-kanar to tu bhi hai main bhi hun
furqat se ham-kanār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
milne ko be-qarār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
duniyā meñ sar uThā ke kahāñ tak chaleñge ham
duniyā se sharmsār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
aisā kareñ ki baañT leñ aapas ke ranj-o-ġham
hālāt kā shikār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
manzil kī aarzū meñ bhaTakne kā shauq rakh
ik raah kā ġhubār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
mahfil meñ us kī jā ke magar kyā kareñge ham
ġhairoñ meñ ab shumār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
jo dil-fareb haiñ vahī manzar haiñ dil-nashīñ
kahne ko hoshiyār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
'bebāk' ruḳh pe chhāne lage haiñ ḳhizāñ ke rañg
go hāsil-e-bahār to tū bhī hai maiñ bhī huuñ
furqat se ham-kanar to tu bhi hai main bhi hun
milne ko be-qarar to tu bhi hai main bhi hun
duniya mein sar uTha ke kahan tak chalenge hum
duniya se sharmsar to tu bhi hai main bhi hun
aisa karen ki banT len aapas ke ranj-o-gham
haalat ka shikar to tu bhi hai main bhi hun
manzil ki aarzu mein bhaTakne ka shauq rakh
ek rah ka ghubar to tu bhi hai main bhi hun
mahfil mein us ki ja ke magar kya karenge hum
ghairon mein ab shumar to tu bhi hai main bhi hun
jo dil-fareb hain wahi manzar hain dil-nashin
kahne ko hoshiyar to tu bhi hai main bhi hun
'bebak' ruKH pe chhane lage hain KHizan ke rang
go hasil-e-bahaar to tu bhi hai main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.