fursat nahin hai mujhko mohabbat ke khel se
fursat nahīñ hai mujh ko mohabbat ke khel se
maiñ kyuuñ laḌā.ī luuñ kisī pāgal chuḌail se
ye zulm bhī huā hai mohabbat ke naam par
bānu-e-shahr khīñchī ga.ī hai nakel se
us se bichhaḌ ke ḳhud ko sambhālā nahīñ gayā
lagtā hai gir paḌī huuñ kisī chaltī rail se
ab maiñ kahāñ visāl kā paudā lagā.uñgī
ye ghar to bhar gayā hai udāsī kī bel se
bachpan meñ chāñd bhī koī panchhī lagā mujhe
lagtā thā gir paḌegā ye merī ġhulail se
fursat nahin hai mujh ko mohabbat ke khel se
main kyun laDai lun kisi pagal chuDail se
ye zulm bhi hua hai mohabbat ke nam par
banu-e-shahr khinchi gai hai nakel se
us se bichhaD ke KHud ko sambhaala nahin gaya
lagta hai gir paDi hun kisi chalti rail se
ab main kahan visal ka pauda lagaungi
ye ghar to bhar gaya hai udasi ki bel se
bachpan mein chand bhi koi panchhi laga mujhe
lagta tha gir paDega ye meri ghulail se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.