Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fusun-e-rang tajalli-e-KHwab-zar na de

Manzar Ejaz

fusun-e-rang tajalli-e-KHwab-zar na de

Manzar Ejaz

MORE BYManzar Ejaz

    fusūn-e-rang tajallī-e-ḳhvāb-zār na de

    nigāh de bhī to minnat-kash-e-sahār na de

    kuchh aur zauq-e-tajassus ko murta.ish kar de

    sukūñ nazar ko na de qalb ko qarār na de

    tavahhumāt ke sahrā se phir guzār mujhe

    yaqīñ soz na de harf-e-e'tibār na de

    na de vo zor ke īmān zulm par rakkhūñ

    shi.ār jabr ko samjhūñ vo iḳhtiyār na de

    maiñ qarz-ḳhvār agar huuñ to phir taqāza na kar

    to sūd-ḳhvār hai to zindagī udhār na de

    chhupā chhupā ke na rakh harf harf meñ ḳhud ko

    junūñ-shi.ār nazar-pairahan utaar na de

    fusun-e-rang tajalli-e-KHwab-zar na de

    nigah de bhi to minnat-kash-e-sahaar na de

    kuchh aur zauq-e-tajassus ko murtaish kar de

    sukun nazar ko na de qalb ko qarar na de

    tawahhumat ke sahra se phir guzar mujhe

    yaqin ka soz na de harf-e-e'tibar na de

    na de wo zor ke iman zulm par rakkhun

    shiar jabr ko samjhun wo iKHtiyar na de

    main qarz-KHwar agar hun to phir taqaza na kar

    to sud-KHwar hai to zindagi udhaar na de

    chhupa chhupa ke na rakh harf harf mein KHud ko

    junun-shiar nazar-pairahan utar na de

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now