Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fusun-e-shab ki siyahi se haar jate hain

Hira Qasmi

fusun-e-shab ki siyahi se haar jate hain

Hira Qasmi

MORE BYHira Qasmi

    fusūn-e-shab siyāhī se haar jaate haiñ

    ham ahl-e-girya ḳhamoshī se haar jaate haiñ

    sajā ke chāroñ taraf dostoñ vo bazm-e-nashāt

    sunā hai dil udāsī se haar jaate haiñ

    diloñ meñ dard liye ahl-e-hijr nauhagar

    rah-e-vafā meñ asīrī se haar jaate haiñ

    qabīla yuuñ to lab-e-jū basā liyā lekin

    ham ab bhī tishna-dahānī se haar jaate haiñ

    ajiib hote haiñ ai shaḳhs dukh ke bāshinde

    zarā se aañkh ke paanī se haar jaate haiñ

    fusun-e-shab ki siyahi se haar jate hain

    hum ahl-e-girya KHamoshi se haar jate hain

    saja ke chaaron taraf doston wo bazm-e-nashat

    suna hai dil ki udasi se haar jate hain

    dilon mein dard liye ahl-e-hijr nauhagar

    rah-e-wafa mein asiri se haar jate hain

    qabila yun to lab-e-ju basa liya lekin

    hum ab bhi tishna-dahani se haar jate hain

    ajib hote hain ai shaKHs dukh ke bashinde

    zara se aankh ke pani se haar jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now