fusun kar gai raat pagal hawa
fusūñ kar ga.ī raat pāgal havā
uḌā le ga.ī surḳh āñchal havā
huī jis ghaḌī dhuul se dostī
banī dasht-e-ġhurbat meñ bādal havā
mujhe zindagī ik gulistāñ lage
dikhā chal ke ab us ko jañgal havā
jalā de irādoñ ke tūfān ko
bujhā de agar terī mash.al havā
saḌak par badan ik paḌā dekh kar
chalī ghuum kar sū-e-maqtal havā
ḳhushī ke charāġhoñ ne samjhā hai kab
tujhe ai shab-e-ġham kī bojhal havā
lahū raat kī raat girtā rahā
rahī raat kī raat jal-thal havā
fusun kar gai raat pagal hawa
uDa le gai surKH aanchal hawa
hui jis ghaDi dhul se dosti
bani dasht-e-ghurbat mein baadal hawa
mujhe zindagi ek gulistan lage
dikha chal ke ab us ko jangal hawa
jala de iradon ke tufan ko
bujha de agar teri mashal hawa
saDak par badan ek paDa dekh kar
chali ghum kar su-e-maqtal hawa
KHushi ke charaghon ne samjha hai kab
tujhe ai shab-e-gham ki bojhal hawa
lahu raat ki raat girta raha
rahi raat ki raat jal-thal hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.