gaDiyon se na teri koThiyon se
gāḌiyoñ se na terī koThiyoñ se
duniyā chaltī hai chand roTiyoñ se
dil meñ aa.e koī kharī 'aurat
ye kuaañ bhar gayā hai khoTiyoñ se
aap ko ḳhauf hai nasheboñ kā
maiñ girā huuñ buland choTiyoñ se
pyaar anqā hai jab jahāñ se mile
goriyoñ kāliyoñ kalūTiyoñ se
āḳhirī anjuman sajā.ūñgā
na.e yāroñ se aur lañgoTiyoñ se
mehrbāñ sī du'ā salām 'ikrām'
baḌī bahnoñ kī jaise chhoTiyoñ se
gaDiyon se na teri koThiyon se
duniya chalti hai chand roTiyon se
dil mein aae koi khari 'aurat
ye kuan bhar gaya hai khoTiyon se
aap ko KHauf hai nashebon ka
main gira hun buland choTiyon se
pyar anqa hai jab jahan se mile
goriyon kaliyon kaluTiyon se
aaKHiri anjuman sajaunga
nae yaron se aur langoTiyon se
mehrban si du'a salam 'ikram'
baDi bahnon ki jaise chhoTiyon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.