ghafil ba-wahm-e-naz KHud-ara hai warna yan
ġhāfil ba-vahm-e-nāz ḳhud-ārā hai varna yaañ
be-shāna-e-sabā nahīñ turra gayāh kā
bazm-e-qadah se aish-e-tamannā na rakh ki rañg
said-e-ze-dām-e-jasta hai us dām-gāh kā
rahmat agar qubūl kare kyā ba.iid hai
sharmindagī se uzr na karnā gunāh kā
maqtal ko kis nashāt se jaatā huuñ maiñ ki hai
pur-gul ḳhayāl-e-zaḳhm se dāman nigāh kā
jaañ dar-havā-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad'
parvāna hai vakīl tire dād-ḳhvāh kā
uzlat-guzīn-e-bazm haiñ vāmāñdagān-e-dīd
mīnā-e-mai hai aabla pā-e-nigāh kā
har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam
kyā biim ahl-e-dard ko saḳhtī-e-rāh kā
tā.ūs-e-dar-rikāb hai har zarra aah kā
yā-rab nafas ġhubār hai kis jalva-gāh kā
jeb-e-niyāz-e-ishq nishāñ-dār-e-nāz hai
ā.īna huuñ shikastan-e-tarf-e-kulāh kā
ghafil ba-wahm-e-naz KHud-ara hai warna yan
be-shana-e-saba nahin turra gayah ka
bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ki rang
said-e-ze-dam-e-jasta hai us dam-gah ka
rahmat agar qubul kare kya baid hai
sharmindagi se uzr na karna gunah ka
maqtal ko kis nashat se jata hun main ki hai
pur-gul KHayal-e-zaKHm se daman nigah ka
jaan dar-hawa-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad'
parwana hai wakil tere dad-KHwah ka
uzlat-guzin-e-bazm hain wamandagan-e-did
mina-e-mai hai aabla pa-e-nigah ka
har gam aable se hai dil dar-tah-e-qadam
kya bim ahl-e-dard ko saKHti-e-rah ka
taus-e-dar-rikab hai har zarra aah ka
ya-rab nafas ghubar hai kis jalwa-gah ka
jeb-e-niyaz-e-ishq nishan-dar-e-naz hai
aaina hun shikastan-e-tarf-e-kulah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.