ghafil dil aur ishq ki rasmen
ġhāfil dil aur ishq kī rasmeñ
ishq kahāñ phir dil ke bas meñ
kahāñ ga.e phūloñ se gharauñde
jin ke liye rote the qafas meñ
aah vahī matlūb na niklā
jis kī talab raqsāñ thī nafas meñ
ummīdoñ kī apnī ghuTan thī
umr guzārī ham ne umas meñ
lau ke pyāle kyā chalkā.eñ
barf ghulī hai dhuup ke ras meñ
hasrat ban jaatī hai tamannā
yuuñ na samā dil kī nas nas meñ
ghafil dil aur ishq ki rasmen
ishq kahan phir dil ke bas mein
kahan gae phulon se gharaunde
jin ke liye rote the qafas mein
aah wahi matlub na nikla
jis ki talab raqsan thi nafas mein
ummidon ki apni ghuTan thi
umr guzari hum ne umas mein
lau ke pyale kya chalkaen
barf ghuli hai dhup ke ras mein
hasrat ban jati hai tamanna
yun na sama dil ki nas nas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.