ghafil na rahna nabz ki raftar dekhna
ġhāfil na rahnā nabz kī raftār dekhnā
sar par laTaktī vaqt kī talvār dekhnā
ḳhālī haiñ donoñ haath zarūrat pe hai nazar
dam toḌte haiñ aaj ke fankār dekhnā
sab khā rahe haiñ bech ke gahne zamīr ke
haiñ log kitne aaj ke nādār dekhnā
dāḌhī baḌhī haiñ baal baḌhe kapḌe gerve
haiñ ye jadīd daur ke autār dekhnā
hai samt samt chīḳh tirī chiil kī tarah
har jā shahad bharī mirī guftār dekhnā
taḳhlīq kī hathelī pe uslūb kī chitā
'shāġhil' 'adīb' fan kā ye me.aar dekhnā
ghafil na rahna nabz ki raftar dekhna
sar par laTakti waqt ki talwar dekhna
KHali hain donon hath zarurat pe hai nazar
dam toDte hain aaj ke fankar dekhna
sab kha rahe hain bech ke gahne zamir ke
hain log kitne aaj ke nadar dekhna
daDhi baDhi hain baal baDhe kapDe gerwe
hain ye jadid daur ke autar dekhna
hai samt samt chiKH teri chil ki tarah
har ja shahad bhari meri guftar dekhna
taKHliq ki hatheli pe uslub ki chita
'shaghil' 'adib' fan ka ye mear dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.