gahe gahe jo idhar aap karam karte hain
gahe gahe jo idhar aap karam karte hain
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
gaahe gaahe jo idhar aap karam karte haiñ
vo haiñ uTh jaate haiñ ye aur sitam karte haiñ
jī na lag jaa.e kahīñ tujh se isī vāste bas
rafta rafta tire ham milne ko kam karte haiñ
vāqa.ī yuuñ to zarā dekhiyo sub.hān-allāh
tere dikhlāne ko ham chashm ye nam karte haiñ
ishq meñ sharm kahāñ nāseh-e-mushfiq ye bajā
aap ko kyā hai jo is baat kā ġham karte haiñ
gāliyāñ khāne ko us shoḳh se milte haiñ haañ
koī kartā nahīñ jo kaam so ham karte haiñ
haiñ talabgār mohabbat ke miyāñ jo ashḳhās
vo bhalā kab talab-e-dām-o-diram karte haiñ
ain mastī meñ hameñ dīd-e-fanā hai 'inshā'
aañkh jab mūñdte haiñ sair-e-adam karte haiñ
gahe gahe jo idhar aap karam karte hain
wo hain uTh jate hain ye aur sitam karte hain
ji na lag jae kahin tujh se isi waste bas
rafta rafta tere hum milne ko kam karte hain
waqai yun to zara dekhiyo subhan-allah
tere dikhlane ko hum chashm ye nam karte hain
ishq mein sharm kahan naseh-e-mushfiq ye baja
aap ko kya hai jo is baat ka gham karte hain
galiyan khane ko us shoKH se milte hain han
koi karta nahin jo kaam so hum karte hain
hain talabgar mohabbat ke miyan jo ashKHas
wo bhala kab talab-e-dam-o-diram karte hain
ain masti mein hamein did-e-fana hai 'insha'
aankh jab mundte hain sair-e-adam karte hain
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.