gahe-gahe na mujhko ghiza dijiye
gāhe-gāhe na mujh ko ġhizā dījiye
bhuuk ko mārne kī davā dījiye
maiñ huuñ sachchā to mujh ko sila dījiye
aur jhūTā huuñ to phir sazā dījiye
bol kar hī batānā zarūrī nahīñ
aap raazī haiñ to muskurā dījiye
vo jo chehre ke pīchhe bhī dikhlātā ho
mujh ko aisā koī ā.īna dījiye
ham bhī aa.e haiñ jhukne dar-e-yār par
ham ko bhī jaane kā rāsta dījiye
mere dil meñ to bas aap hī aap haiñ
aap ke dil meñ kyā hai batā dījiye
apne bāhar se 'ulfat' bahut mil chukā
ab mire ghar se mujh ko milā dījiye
gahe-gahe na mujh ko ghiza dijiye
bhuk ko marne ki dawa dijiye
main hun sachcha to mujh ko sila dijiye
aur jhuTa hun to phir saza dijiye
bol kar hi batana zaruri nahin
aap raazi hain to muskura dijiye
wo jo chehre ke pichhe bhi dikhlata ho
mujh ko aisa koi aaina dijiye
hum bhi aae hain jhukne dar-e-yar par
hum ko bhi jaane ka rasta dijiye
mere dil mein to bas aap hi aap hain
aap ke dil mein kya hai bata dijiye
apne bahar se 'ulfat' bahut mil chuka
ab mere ghar se mujh ko mila dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.