ghaalib ki har zamin mein KHurafat chahiye
'ġhālib' kī har zamīñ meñ ḳhurāfāt chāhiye
taḳhrīb kuchh to bahr-e-mulāqāt chāhiye
choroñ ko bor kiije na aise ḳhulūs se
din kā vo kyā kareñge unheñ raat chāhiye
jo kuchh bhī aap chāheñge mil jā.egā huzūr
bas mantarī se thoḌī mulāqāt chāhiye
insāniyat ko lūTne vāloñ kā hai ilaaj
aise harām-ḳhoroñ ko bas laat chāhiye
gar chāhte haiñ aap ki majnūñ sā ishq ho
patthar bhī sar pe khāne kī auqāt chāhiye
shādī hai ik yatīm kī ḳhushiyoñ ko bāñTne
ik nāchtī kirā.e pe bārāt chāhiye
maz.hab ke aur sex ke business ke vāste
santoñ sī sādhūoñ sī karāmāt chāhiye
in qaidiyoñ ke jurm kī tafsīl ke liye
mujh ko bhī chand roz havālāt chāhiye
jin ko ḳhudā kī zaat se kuchh inhirāf hai
ustād aise logoñ kā bad-zāt chāhiye
paanī ke devtā se mirī hai yahī duā
dilbar na lauT paa.e vo barsāt chāhiye
ik bosa ham ko de do mohabbat ke naam par
ham husn ke faqīr haiñ ḳhairāt chāhiye
la.anat hai tum pe 'rāz' ki nangī hī le chale
kāġhaz meñ lipTī aap kī sauġhāt chāhiye
'ghaalib' ki har zamin mein KHurafat chahiye
taKHrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye
choron ko bor kije na aise KHulus se
din ka wo kya karenge unhen raat chahiye
jo kuchh bhi aap chahenge mil jaega huzur
bas mantari se thoDi mulaqat chahiye
insaniyat ko luTne walon ka hai ilaj
aise haram-KHoron ko bas lat chahiye
gar chahte hain aap ki majnun sa ishq ho
patthar bhi sar pe khane ki auqat chahiye
shadi hai ek yatim ki KHushiyon ko banTne
ek nachti kirae pe baraat chahiye
mazhab ke aur sex ke business ke waste
santon si sadhuon si karamat chahiye
in qaidiyon ke jurm ki tafsil ke liye
mujh ko bhi chand roz hawalat chahiye
jin ko KHuda ki zat se kuchh inhiraf hai
ustad aise logon ka bad-zat chahiye
pani ke dewta se meri hai yahi dua
dilbar na lauT pae wo barsat chahiye
ek bosa hum ko de do mohabbat ke nam par
hum husn ke faqir hain KHairaat chahiye
lanat hai tum pe 'raaz' ki nangi hi le chale
kaghaz mein lipTi aap ki saughat chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.