ganw ko chhoD ke hum shahr kamane aae
gaañv ko chhoḌ ke ham shahr kamāne aa.e
ab ye ehsās huā jaan gañvāne aa.e
ab to har lamha ye ehsās huā kartā hai
kaash phir koī hameñ ghar se bulāne aa.e
mere mālik mire maulā ai mire rabb-e-karīm
dar-ba-dar ho ke tujhe zaḳhm dikhā ne aa.e
dard-e-jāñ se jo hue aaj pareshān to ham
terī mahfil meñ tujhe haal sunāne aa.e
aa ke chau-raste pe ham baiTh ga.e haiñ 'rizvāñ'
rāhbar koī hameñ raah dikhāne aa.e
ganw ko chhoD ke hum shahr kamane aae
ab ye ehsas hua jaan ganwane aae
ab to har lamha ye ehsas hua karta hai
kash phir koi hamein ghar se bulane aae
mere malik mere maula ai mere rabb-e-karim
dar-ba-dar ho ke tujhe zaKHm dikha ne aae
dard-e-jaan se jo hue aaj pareshan to hum
teri mahfil mein tujhe haal sunane aae
aa ke chau-raste pe hum baiTh gae hain 'rizwan'
rahbar koi hamein rah dikhane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.