Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ganw mein ab ganw jaisi baat bhi baqi nahin

Raghib Akhtar

ganw mein ab ganw jaisi baat bhi baqi nahin

Raghib Akhtar

MORE BYRaghib Akhtar

    gaañv meñ ab gaañv jaisī baat bhī baaqī nahīñ

    yaanī guzre vaqt sauġhāt bhī baaqī nahīñ

    titliyoñ se halke phulke din na jaane kyā hue

    jugnuoñ TimTimātī raat bhī baaqī nahīñ

    muskurāhaT jeb meñ rakkhī thī kaise kho ga.ī

    haif ab ashkoñ vo barsāt bhī baaqī nahīñ

    but-parastī sheva-e-dil ho to koī kyā kare

    ab to kaabe meñ hubal aur laat bhī baaqī nahīñ

    chhat pe jaanā chāñd ko taknā kisī yaad meñ

    vaqt ke dāman meñ vo auqāt bhī baaqī nahīñ

    ganw mein ab ganw jaisi baat bhi baqi nahin

    yani guzre waqt ki saughat bhi baqi nahin

    titliyon se halke phulke din na jaane kya hue

    jugnuon si TimTimati raat bhi baqi nahin

    muskurahaT jeb mein rakkhi thi kaise kho gai

    haif ab ashkon ki wo barsat bhi baqi nahin

    but-parasti shewa-e-dil ho to koi kya kare

    ab to kabe mein hubal aur lat bhi baqi nahin

    chhat pe jaana chand ko takna kisi ki yaad mein

    waqt ke daman mein wo auqat bhi baqi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now