ganw wale kahan badalte hain
gaañv vaale kahāñ badalte haiñ
aao ham hī jahāñ badalte haiñ
ek ham se gurez kī ḳhātir
kitne vo āshiyāñ badalte haiñ
vo aqīdat ke rañg kyā jāneñ
roz jo āstāñ badalte haiñ
aql vāloñ ne haar kar ye kahā
ishq vaale kahāñ badalte haiñ
ham ko urdu hai jaan se pyārī
ham nahīñ vo jo jaañ badalte haiñ
kyoñ nahīñ aatī haiñ abābīleñ
aao tarz-e-fuġhāñ badalte haiñ
rut jo badlī to maiñ ne ye jaanā
kyoñ parinde makāñ badalte haiñ
vaqt paḌne pe jaanā hai 'aiman'
kis tarah mehrbāñ badalte haiñ
ganw wale kahan badalte hain
aao hum hi jahan badalte hain
ek hum se gurez ki KHatir
kitne wo aashiyan badalte hain
wo aqidat ke rang kya jaanen
roz jo aastan badalte hain
aql walon ne haar kar ye kaha
ishq wale kahan badalte hain
hum ko urdu hai jaan se pyari
hum nahin wo jo jaan badalte hain
kyon nahin aati hain ababilen
aao tarz-e-fughan badalte hain
rut jo badli to main ne ye jaana
kyon parinde makan badalte hain
waqt paDne pe jaana hai 'aiman'
kis tarah mehrban badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.