Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla

Iqbal Sajid

ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla

Iqbal Sajid

MORE BYIqbal Sajid

    ġhaar se sañg haTāyā to vo ḳhālī niklā

    kisī qaidī na kirdār misālī niklā

    chaḌhte sūraj ne har ik haath meñ kashkol diyā

    sub.h hote har ik ghar se savālī niklā

    sab shakloñ meñ tirī shakl nazar aa.ī mujhe

    qur.a-e-fāl mire naam pe gaalī niklā

    raas aa.e mujhe murjhā.e hue zard gulāb

    ġham partav mire chehre bahālī niklā

    kab gayā jism magar saa.e to mahfūz rahe

    merā shīrāza bikhar kar bhī misālī niklā

    raat jab guzrī to phir sub.h-e-hinā rañg huī

    chāñd tarah mirā aks ḳhayālī niklā

    taḳht ḳhālī rahā dil hamesha 'sājid'

    is riyāsat to koī bhī na vaalī niklā

    ghaar se sang haTaya to wo KHali nikla

    kisi qaidi ka na kirdar misali nikla

    chaDhte suraj ne har ek hath mein kashkol diya

    subh hote hi har ek ghar se sawali nikla

    sab ki shaklon mein teri shakl nazar aai mujhe

    qura-e-fal mere nam pe gali nikla

    ras aae mujhe murjhae hue zard gulab

    gham ka partaw mere chehre ki bahaali nikla

    kab gaya jism magar sae to mahfuz rahe

    mera shiraaza bikhar kar bhi misali nikla

    raat jab guzri to phir subh-e-hina rang hui

    chand ki tarah mera aks KHayali nikla

    taKHt KHali hi raha dil ka hamesha 'sajid'

    is riyasat ka to koi bhi na wali nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now