ghaar tha ghaar ki tanhai thi aage main tha
ġhaar thā ġhaar kī tanhā.ī thī aage maiñ thā
daf'atan aag sī lahrā.ī thī aage maiñ thā
usī Table pe jahāñ baiTh ke khāte the kabhī
tū kisī aur ke saath aa.ī thī aage maiñ thā
raat khiḌkī se koī chiiz girī kamre meñ
mom-battī sī vo tharrā.ī thī aage maiñ thā
zindagī maiñ tujhe raste se uThā laayā huuñ
tū kisī aur se Takrā.ī thī aage maiñ thā
pesh-rau koī sar-e-rāh-e-najaf thā hī nahīñ
pīchhe pīchhe mirī maulā.ī thī aage maiñ thā
ghaar tha ghaar ki tanhai thi aage main tha
daf'atan aag si lahrai thi aage main tha
usi Table pe jahan baiTh ke khate the kabhi
tu kisi aur ke sath aai thi aage main tha
raat khiDki se koi chiz giri kamre mein
mom-batti si wo tharrai thi aage main tha
zindagi main tujhe raste se uTha laya hun
tu kisi aur se Takrai thi aage main tha
pesh-rau koi sar-e-rah-e-najaf tha hi nahin
pichhe pichhe meri maulai thi aage main tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.