ghasibon aur taKHt walon ke KHuda ka silsila
ghasibon aur taKHt walon ke KHuda ka silsila
Sayyad Sohaib Hashmi
MORE BYSayyad Sohaib Hashmi
ġhāsiboñ aur taḳht vāloñ ke ḳhudā kā silsila
chal paḌā bār-e-digar karb-o-balā kā silsila
TuuT jaatā hai kabhī dil to kahīñ rishta koī
zahr-e-qātil hai mohabbat meñ anā kā silsila
ab talak jaarī hai lāshoñ par siyāsat mulk meñ
dekhiye ruktā hai kab āh-o-bukā kā silsila
dam se ai abbās tere aadmī hai bā-vaqār
chal rahā hai tere sadqe se vafā kā silsila
āstīñ ke sab hī sāñpoñ ko nigal jaa.e 'suhaib'
phir ravā ho is zamāne meñ asā kā silsila
ghasibon aur taKHt walon ke KHuda ka silsila
chal paDa bar-e-digar karb-o-bala ka silsila
TuT jata hai kabhi dil to kahin rishta koi
zahr-e-qatil hai mohabbat mein ana ka silsila
ab talak jari hai lashon par siyasat mulk mein
dekhiye rukta hai kab aah-o-buka ka silsila
dam se ai abbas tere aadmi hai ba-waqar
chal raha hai tere sadqe se wafa ka silsila
aastin ke sab hi sanpon ko nigal jae 'suhaib'
phir rawa ho is zamane mein asa ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.