gata raha hai dur koi hir raat bhar
gaatā rahā hai duur koī hiir raat bhar
maiñ dekhtā rahā tirī tasvīr raat bhar
tāroñ ke TūTne kī sadā gūñjtī rahī
hotī rahī hai raat kī tash.hīr raat bhar
sūraj ne sub.h-dam mire paañv meñ Daal dī
maiñ toḌtā rahā huuñ jo zanjīr raat bhar
maiñ ḳhāmushī meñ Duub ke kuchh sochtā rahā
kuchh boltī rahī tirī tasvīr raat bhar
maiñ chal paḌā to kaT ke vo qadmoñ meñ aa girī
laTkī hai mere sar pe jo shamshīr raat bhar
maiñ so gayā 'rashīd' to haala bikhar gayā
sūjhī na koī chāñd ko tadbīr raat bhar
gata raha hai dur koi hir raat bhar
main dekhta raha teri taswir raat bhar
taron ke TuTne ki sada gunjti rahi
hoti rahi hai raat ki tashhir raat bhar
suraj ne subh-dam mere panw mein Dal di
main toDta raha hun jo zanjir raat bhar
main KHamushi mein Dub ke kuchh sochta raha
kuchh bolti rahi teri taswir raat bhar
main chal paDa to kaT ke wo qadmon mein aa giri
laTki hai mere sar pe jo shamshir raat bhar
main so gaya 'rashid' to haala bikhar gaya
sujhi na koi chand ko tadbir raat bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.