gae dinon ke dariche sajaane lagte hain
ga.e dinoñ ke darīche sajāne lagte haiñ
ham apne haal ko maazī banāne lagte haiñ
ḳhulūs-o-mehr-o-mohabbat kī qadr ḳhatm huī
hayāt-e-nau meñ ye sikke purāne lagte haiñ
vo kaun hai jo unheñ khelne nahīñ detā
vo kam-sinī meñ jo rozī kamāne lagte haiñ
maiñ terī zulf ke saa.e meñ ruk to jā.ūñ magar
tire jamāl ke sho.ale jalāne lagte haiñ
zamāne ba.ad tū aayā hai lamha bhar to Thahar
ki āte-āte ye lamha zamāne lagte haiñ
jinhoñ ne qaumī tashaḳhḳhus ko pā.emāl kiyā
ma.āshre ko vo ūñche gharāne lagte haiñ
hameñ vo ġhair samajhtā hai to gila kaisā
ki ibtidā meñ ġhalat bhī nishāne lagte haiñ
ye ishq-bel kabhī sūkhtī nahīñ 'nusrat'
visāl-rut meñ isī ko fasāne lagte haiñ
gae dinon ke dariche sajaane lagte hain
hum apne haal ko mazi banane lagte hain
KHulus-o-mehr-o-mohabbat ki qadr KHatm hui
hayat-e-nau mein ye sikke purane lagte hain
wo kaun hai jo unhen khelne nahin deta
wo kam-sini mein jo rozi kamane lagte hain
main teri zulf ke sae mein ruk to jaun magar
tere jamal ke shoale jalane lagte hain
zamane baad tu aaya hai lamha bhar to Thahar
ki aate-ate ye lamha zamane lagte hain
jinhon ne qaumi tashaKHKHus ko paemal kiya
maashre ko wo unche gharane lagte hain
hamein wo ghair samajhta hai to gila kaisa
ki ibtida mein ghalat bhi nishane lagte hain
ye ishq-bel kabhi sukhti nahin 'nusrat'
visal-rut mein isi ko fasane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.