gae guzre dinon ki yaad ka nashsha abhi tak hai
ga.e guzre dinoñ kī yaad kā nashsha abhī tak hai
mere paimāna-e-dil meñ koī sahbā abhī tak hai
chhalak paḌte haiñ aañsū aañkh se ik moḌ muḌte hī
purāne ghar kī galiyoñ se mirā rishta abhī tak hai
ai kū-e-yār tū shāyad use ab bhuul baiThī ho
magar tere sabab se shaḳhs ik rusvā abhī tak hai
tasavvur hī kī duniyā thī ḳhayāloñ hī meñ rahte the
yaqīñ se kam nahīñ thā jo vahī dhoka abhī tak hai
inhī āñkhoñ se guzrā hai vo har manzar jo kahtī haiñ
sarāsar vahm thā vo sab ke jo dekhā abhī tak hai
ye ghar us shaḳhs kī mehnat ko ab tak ḳharch kartā hai
jo sāloñ pahle mar kar bhī kahīñ zinda abhī tak hai
masā.il kuchh bhī hoñ lekin mujhe kab fikr thī koī
the vo bhī din maiñ kahtā thā mirā abbā abhī tak hai
mohabbat kī bhalā is se baḌī tasdīq kyā hogī
musalmānoñ kī bastī meñ jo mandir thā abhī tak hai
burā kahtī hai gar duniyā hameñ to mas.ala kyā hai
hameñ to fikr hai us kī ki jo achchhā abhī tak hai
hujūm-e-dostāñ har sū hai lekin bāvajūd is ke
'amar' kyā baat hai āḳhir jo tū tanhā abhī tak hai
gae guzre dinon ki yaad ka nashsha abhi tak hai
mere paimana-e-dil mein koi sahba abhi tak hai
chhalak paDte hain aansu aankh se ek moD muDte hi
purane ghar ki galiyon se mera rishta abhi tak hai
ai ku-e-yar tu shayad use ab bhul baiThi ho
magar tere sabab se shaKHs ek ruswa abhi tak hai
tasawwur hi ki duniya thi KHayalon hi mein rahte the
yaqin se kam nahin tha jo wahi dhoka abhi tak hai
inhi aankhon se guzra hai wo har manzar jo kahti hain
sarasar wahm tha wo sab ke jo dekha abhi tak hai
ye ghar us shaKHs ki mehnat ko ab tak KHarch karta hai
jo salon pahle mar kar bhi kahin zinda abhi tak hai
masail kuchh bhi hon lekin mujhe kab fikr thi koi
the wo bhi din main kahta tha mera abba abhi tak hai
mohabbat ki bhala is se baDi tasdiq kya hogi
musalmanon ki basti mein jo mandir tha abhi tak hai
bura kahti hai gar duniya hamein to masala kya hai
hamein to fikr hai us ki ki jo achchha abhi tak hai
hujum-e-dostan har su hai lekin bawajud is ke
'amar' kya baat hai aaKHir jo tu tanha abhi tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.