gae hain des ko hum apne chhoD kar hi nahin
ga.e haiñ des ko ham apne chhoḌ kar bhī nahīñ
muhājrat ke liye shart ab safar bhī nahīñ
isī jahān meñ rahte haiñ ḳhūb-rū aise
yaqīn mujh ko huā us ko dekh kar bhī nahīñ
mire vajūd meñ ghul-mil ke kar gayā tanhā
vo ek shaḳhs jo aayā kabhī nazar bhī nahīñ
vo ik kitāb ga.ī thī diloñ se tāqoñ par
ab aisī duur huī hai ki taaq par bhī nahīñ
ġham aur ḳhushī nahīñ mauqūf rone hañsne par
aur in havāloñ se iz.hār mo'tabar bhī nahīñ
gae hain des ko hum apne chhoD kar bhi nahin
muhajrat ke liye shart ab safar bhi nahin
isi jahan mein rahte hain KHub-ru aise
yaqin mujh ko hua us ko dekh kar bhi nahin
mere wajud mein ghul-mil ke kar gaya tanha
wo ek shaKHs jo aaya kabhi nazar bhi nahin
wo ek kitab gai thi dilon se taqon par
ab aisi dur hui hai ki taq par bhi nahin
gham aur KHushi nahin mauquf rone hansne par
aur in hawalon se izhaar mo'tabar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.