gae jo kuche mein uske to itna pyar mila
ga.e jo kūche meñ us ke to itnā pyaar milā
magar ye kyā ki har ik shaḳhs be-qarār milā
bhulānā chāhā thā us ko magar bhulā na sake
vo ek shaḳhs jo raste meñ baar baar milā
haqīqatoñ ko fasānoñ meñ jab se uljhāyā
fareb-o-makr-o-siyāsat ko e.atibār milā
kisī ne kar diyā barbād is kā ġham bhī nahīñ
isī bahāne zamāne ko rāzdār milā
unheñ to vaar ke mauqe hazār baar mile
hameñ difā kā mauqa na ek baar milā
gae jo kuche mein us ke to itna pyar mila
magar ye kya ki har ek shaKHs be-qarar mila
bhulana chaha tha us ko magar bhula na sake
wo ek shaKHs jo raste mein bar bar mila
haqiqaton ko fasanon mein jab se uljhaya
fareb-o-makr-o-siyasat ko eatibar mila
kisi ne kar diya barbaad is ka gham bhi nahin
isi bahane zamane ko raazdar mila
unhen to war ke mauqe hazar bar mile
hamein difa ka mauqa na ek bar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.