gae the shauq se hum bhi ye duniya dekhne ko
ga.e the shauq se ham bhī ye duniyā dekhne ko
milā ham ko hamārā hī tamāshā dekhne ko
khaḌe haiñ raah chalte log kitnī ḳhāmushī se
saḌak par marne vāloñ kā tamāshā dekhne ko
bahut se ā.ina-ḳhāne haiñ is bastī meñ lekin
tarastī hai hamārī aañkh chehra dekhne ko
kamānoñ meñ khiñche haiñ tiir talvāreñ haiñ chamkī
zarā Thahro kahāñ jaate ho dariyā dekhne ko
ḳhudā ne mujh ko bin-māñge ye nemat dī hai 'manzar'
taraste haiñ bahut se log mamtā dekhne ko
gae the shauq se hum bhi ye duniya dekhne ko
mila hum ko hamara hi tamasha dekhne ko
khaDe hain rah chalte log kitni KHamushi se
saDak par marne walon ka tamasha dekhne ko
bahut se aaina-KHane hain is basti mein lekin
tarasti hai hamari aankh chehra dekhne ko
kamanon mein khinche hain tir talwaren hain chamki
zara Thahro kahan jate ho dariya dekhne ko
KHuda ne mujh ko bin-mange ye nemat di hai 'manzar'
taraste hain bahut se log mamta dekhne ko
- Book : zindagii (Pg. 14)
- Author : mazar bhopalii
- Publication : nasir publication urdu bazar karachi (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.