gae waqt par na ho tabsira jo guzar gaya wo guzar gaya
ga.e vaqt par na ho tabsira jo guzar gayā vo guzar gayā
vo bhī shaad hai mujhe bhuul kar maiñ bhī vaqt rahte sañvar gayā
use dil se kaise nikālūñ maiñ jo hai aa ke dil meñ Thahar gayā
use bhūlne ke ḳhayāl se koī Dar sā dil meñ utar gayā
vo nigāh mujh se badal gayā jise maiñ ne dil meñ basāyā thā
mire dil ko jis kā yaqīn thā vo hī va.ada kar ke mukar gayā
mire dil pe ab jo ye ghaav haiñ ye tirā karam hai mire sanam
tirī mujh pe haiñ ye ināyateñ jo ujaḌ ye dil kā nagar gayā
dil-e-mubtalā use bhuul jā na taḌap tū us ke firāq meñ
vo na aa.egā kabhī lauT kar jo jalā ke sapnoñ kā ghar gayā
nahīñ ho sakā kisī taur bhī mire zaḳhm-e-dil kā ilaaj phir
dil-e-nā-tavāñ tire kūche meñ mujhe le ke shām-o-sahar gayā
kisī sañg-dil se lagā ke dil baḌī bhuul kī baḌī bhuul kī
lagī choT aisī maiñ kyā kahūñ mire dil kā shīsha bikhar gayā
mujhe ye batā de tū sāqiyā jise mai-kade se gurez thā
tirī mast āñkhoñ meñ vo 'qamar' ye batā ki kaise utar gayā
gae waqt par na ho tabsira jo guzar gaya wo guzar gaya
wo bhi shad hai mujhe bhul kar main bhi waqt rahte sanwar gaya
use dil se kaise nikalun main jo hai aa ke dil mein Thahar gaya
use bhulne ke KHayal se koi Dar sa dil mein utar gaya
wo nigah mujh se badal gaya jise main ne dil mein basaya tha
mere dil ko jis ka yaqin tha wo hi wada kar ke mukar gaya
mere dil pe ab jo ye ghaw hain ye tera karam hai mere sanam
teri mujh pe hain ye inayaten jo ujaD ye dil ka nagar gaya
dil-e-mubtala use bhul ja na taDap tu us ke firaq mein
wo na aaega kabhi lauT kar jo jala ke sapnon ka ghar gaya
nahin ho saka kisi taur bhi mere zaKHm-e-dil ka ilaj phir
dil-e-na-tawan tere kuche mein mujhe le ke sham-o-sahar gaya
kisi sang-dil se laga ke dil baDi bhul ki baDi bhul ki
lagi choT aisi main kya kahun mere dil ka shisha bikhar gaya
mujhe ye bata de tu saqiya jise mai-kade se gurez tha
teri mast aankhon mein wo 'qamar' ye bata ki kaise utar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.