gae waqton se kuchh yari bhi hogi
ga.e vaqtoñ se kuchh yaarī bhī hogī
hamārī nāz-bardārī bhī hogī
zarā sī barf pighlī hai abhī to
mohabbat kī nadī jaarī bhī hogī
sulagte din baḌe chālāk hoñge
magar bachchoñ meñ hushyārī bhī hogī
vo merī zaat se munkir na hogā
namak meñ kuchh vafādārī bhī hogī
kaho 'jāved' is māhaul meñ kyā
usūloñ kī taraf-dārī bhī hogī
gae waqton se kuchh yari bhi hogi
hamari naz-bardari bhi hogi
zara si barf pighli hai abhi to
mohabbat ki nadi jari bhi hogi
sulagte din baDe chaalak honge
magar bachchon mein hushyari bhi hogi
wo meri zat se munkir na hoga
namak mein kuchh wafadari bhi hogi
kaho 'jawed' is mahaul mein kya
usulon ki taraf-dari bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.