gae wo din ki teri dushmani se Darte the
ga.e vo din ki tirī dushmanī se Darte the
sazā-e-maut haiñ ab to tirī panāheñ bhī
zarūratoñ kī parastish nazar meñ zīnat hai
najāt kaise milegī agar ye chāheñ bhī
qarīb qurb thā vo yā qazā se duurī hai
bas ik lakīr sī lagtī haiñ shāhrāheñ bhī
hamārī baat zarūrī nahīñ ki sach hī ho
darūn-e-zāt kī tasvīr haiñ nigāheñ bhī
ye mere ghar kī amīrī ajab amīrī hai
ki apne maal ko tarseñ mirī nigāheñ bhī
mizāj-e-adl par aksar girāñ guzartī haiñ
amiir zulm ke pīchhe ġharīb aaheñ bhī
haiñ aap taaq haqīqat kī parda-poshī meñ
ki ḳhud hī zulm kareñ aur ḳhud karāheñ bhī
gae wo din ki teri dushmani se Darte the
saza-e-maut hain ab to teri panahen bhi
zaruraton ki parastish nazar mein zinat hai
najat kaise milegi agar ye chahen bhi
qarib qurb tha wo ya qaza se duri hai
bas ek lakir si lagti hain shahrahen bhi
hamari baat zaruri nahin ki sach hi ho
darun-e-zat ki taswir hain nigahen bhi
ye mere ghar ki amiri ajab amiri hai
ki apne mal ko tarsen meri nigahen bhi
mizaj-e-adl par aksar giran guzarti hain
amir zulm ke pichhe gharib aahen bhi
hain aap taq haqiqat ki parda-poshi mein
ki KHud hi zulm karen aur KHud karahen bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.