ghaflat mein meri pusht pe jo war karega
ġhaflat meñ mirī pusht pe jo vaar karegā
ye kaam karegā to mirā yaad karegā
lamhe kī haqīqat ko jo samjhe vo siyānā
nādāñ hai agar vaqt ko bekār karegā
muḳhlis hai to mānegā fazīlat vo hamārī
hāsid hai to sachchā.ī se inkār karegā
talvār se dil jiit nahīñ pā.eñge hargiz
ye kaam to bas aap kā kirdār karegā
is daur kā sachchā vahī fankār hai 'sājid'
so.e hue zehnoñ ko jo bedār karegā
ghaflat mein meri pusht pe jo war karega
ye kaam karega to mera yaad karega
lamhe ki haqiqat ko jo samjhe wo siyana
nadan hai agar waqt ko bekar karega
muKHlis hai to manega fazilat wo hamari
hasid hai to sachchai se inkar karega
talwar se dil jit nahin paenge hargiz
ye kaam to bas aap ka kirdar karega
is daur ka sachcha wahi fankar hai 'sajid'
soe hue zehnon ko jo bedar karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.