gagan se dharti pe aa gaya tha
gagan se dhartī pe aa gayā thā
ajal ko achchhe se jāntā thā
maiñ ham-safar us kā kaise bantā
vo rāsta hī badal chukā thā
maiñ aa gayā thā bhaTak ke us par
zamīñ ke nīche jo rāsta thā
havā ke hāthoñ huā pareshāñ
patañg ban kar maiñ kyā uḌā thā
nazar paḌī jis bashar pe merī
mahā-purūsh thā mahātmā thā
vatan jo lauTe to ham ne dekhā
nagar kā naqsha badal chukā thā
ḳhizāñ ḳhajil thī kiye pe apne
shajar barahna jo kar diyā thā
ubuur karnā thā us ko āḳhir
nazar nazar meñ jo fāsla thā
ajiib bhakshak thā vo zamīñ par
gagan se miTTī jo māñgtā thā
gagan ne samjhā zamīñ ko pāgal
jo us pe ole vo pheñktā thā
'figār' turbat vahāñ thī kis kī
diyā fazā meñ jo jal rahā thā
gagan se dharti pe aa gaya tha
ajal ko achchhe se jaanta tha
main ham-safar us ka kaise banta
wo rasta hi badal chuka tha
main aa gaya tha bhaTak ke us par
zamin ke niche jo rasta tha
hawa ke hathon hua pareshan
patang ban kar main kya uDa tha
nazar paDi jis bashar pe meri
maha-purush tha mahatma tha
watan jo lauTe to hum ne dekha
nagar ka naqsha badal chuka tha
KHizan KHajil thi kiye pe apne
shajar barahna jo kar diya tha
ubur karna tha us ko aaKHir
nazar nazar mein jo fasla tha
ajib bhakshak tha wo zamin par
gagan se miTTi jo mangta tha
gagan ne samjha zamin ko pagal
jo us pe ole wo phenkta tha
'figar' turbat wahan thi kis ki
diya faza mein jo jal raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.