gahe makan se suni gah-e-la-makan se suni
gahe makāñ se sunī gāh-e-lā-makāñ se sunī
shikast-e-dil kī sadā kyā kahūñ kahāñ se sunī
na bū-e-gul ne kahā kuchh na to sabā ne kahā
hadīs-e-barq-o-sharar ham ne āshiyāñ se sunī
tamām hāsil-e-ayyām jis safar meñ luTā
vo dāstan-e-safar umr-e-rā.egāñ se sunī
zamāna manzil-e-gum-gashta kī talāsh meñ hai
ye baat uḌtī huī gard-e-kārvāñ se sunī
hai zindagī se jo taḳhlīq-e-fan kā rishta 'nāz'
tamām umr ye āvāz sāz-e-jāñ se sunī
gahe makan se suni gah-e-la-makan se suni
shikast-e-dil ki sada kya kahun kahan se suni
na bu-e-gul ne kaha kuchh na to saba ne kaha
hadis-e-barq-o-sharar hum ne aashiyan se suni
tamam hasil-e-ayyam jis safar mein luTa
wo dastan-e-safar umr-e-raegan se suni
zamana manzil-e-gum-gashta ki talash mein hai
ye baat uDti hui gard-e-karwan se suni
hai zindagi se jo taKHliq-e-fan ka rishta 'naz'
tamam umr ye aawaz saz-e-jaan se suni
- Book : Lamhon Ki Sada (Pg. 69)
- Author : Naaz Qadri
- Publication : Maktaba Sadaf, Muzaffarpur (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.