gahra sukut zehn ko behaal kar gaya
gahrā sukūt zehn ko behāl kar gayā
sochoñ ke phuul phuul ko pāmāl kar gayā
sūraj ne apnī aañch ko vāpas bulā liyā
lekin mire lahū ko vo sayyāl kar gayā
kyā faisla diyā hai adālat ne chhoḌiye
mujrim to apne jurm kā iqbāl kar gayā
jo log duur the vo bahut duur ho ga.e
ye taaza hādisa bhī gayā saal kar gayā
sahme hue haiñ chāroñ taraf raushnī ke aks
ik haath aa ke surḳh ka.ī gaal kar gayā
maiñ do qadam chalā thā ki Dhalvān aa ga.ī
'afzal' safar to merā burā haal kar gayā
gahra sukut zehn ko behaal kar gaya
sochon ke phul phul ko pamal kar gaya
suraj ne apni aanch ko wapas bula liya
lekin mere lahu ko wo sayyal kar gaya
kya faisla diya hai adalat ne chhoDiye
mujrim to apne jurm ka iqbaal kar gaya
jo log dur the wo bahut dur ho gae
ye taza hadisa bhi gaya sal kar gaya
sahme hue hain chaaron taraf raushni ke aks
ek hath aa ke surKH kai gal kar gaya
main do qadam chala tha ki Dhalwan aa gai
'afzal' safar to mera bura haal kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.