gahre suron mein arz-e-nawa-e-hayat kar
gahre suroñ meñ arz-e-navā-e-hayāt kar
siine pe ek dard kī sil rakh ke baat kar
ye dūriyoñ kā sail-e-ravāñ barg-e-nāma bhej
ye fāsloñ ke bañd-e-girāñ koī baat kar
terā dayār raat mirī bāñsurī kī lai
is ḳhvāb-e-dil-nashīñ ko mirī kā.enāt kar
mere ġhamoñ ko apne ḳhayāloñ meñ baar de
in uljhanoñ ko silsila-e-vāqi.āt kar
aa ek din mire dil-e-vīrāñ meñ baiTh kar
is dasht ke sukūt-e-suḳhan-jū se baat kar
'amjad' nashāt-e-zīst isī kashmakash meñ hai
marne kā qasd jiine kā azm ek saat kar
gahre suron mein arz-e-nawa-e-hayat kar
sine pe ek dard ki sil rakh ke baat kar
ye duriyon ka sail-e-rawan barg-e-nama bhej
ye faslon ke band-e-giran koi baat kar
tera dayar raat meri bansuri ki lai
is KHwab-e-dil-nashin ko meri kaenat kar
mere ghamon ko apne KHayalon mein bar de
in uljhanon ko silsila-e-waqiat kar
aa ek din mere dil-e-viran mein baiTh kar
is dasht ke sukut-e-suKHan-ju se baat kar
'amjad' nashat-e-zist isi kashmakash mein hai
marne ka qasd jine ka azm ek sat kar
This content features in following collection(s)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.