gahri kali aankhon wali den kisi autar ki hai
gahrī kaalī āñkhoñ vaalī den kisī autār kī hai
shahr nahīñ mā'lūm mujhe par laḌkī phoTohār kī hai
rasmoñ rītoñ dīvāroñ ko toḌā bhī jā saktā thā
mil bhī sakte the ham lekin baat vahī dastār kī hai
titlī jaisī rang-birangī uḌtī hai ik āñgan meñ
itnī nāzuk hai vo jaise kachchī kalī kachnār kī hai
urdu aise boltī hai vo jaise dehlī vaalī ho
she'r sunātī hai 'ġhālib' ke dīvānī 'gulzār' kī hai
us kī paa.el kī chhan-chhan par raqs parinde karte haiñ
barkhā-rut ke mausam meñ vo guuñj kisī malhār kī hai
aaj bhī merī bastī meñ kuchh kuufe vaale rahte haiñ
jalne vaalā ghar thā merā aag magar aġhyār kī hai
gahri kali aankhon wali den kisi autar ki hai
shahr nahin ma'lum mujhe par laDki phoTohaar ki hai
rasmon riton diwaron ko toDa bhi ja sakta tha
mil bhi sakte the hum lekin baat wahi dastar ki hai
titli jaisi rang-birangi uDti hai ek aangan mein
itni nazuk hai wo jaise kachchi kali kachnar ki hai
urdu aise bolti hai wo jaise dehli wali ho
she'r sunati hai 'ghaalib' ke diwani 'gulzar' ki hai
us ki pael ki chhan-chhan par raqs parinde karte hain
barkha-rut ke mausam mein wo gunj kisi malhaar ki hai
aaj bhi meri basti mein kuchh kufe wale rahte hain
jalne wala ghar tha mera aag magar aghyar ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.